Kitna Badal Gaya Insaan -lyrics (ft. Eva B) - Sunny Khan Durrani | Urdu Rap
Every single way we are destroying this world and not even realizing. Kitna Badal Gaya Insaan!! Music Production/Mixing/Mastering: Sunny Khan Durrani Lyrics: Sunny Khan Durrani, Eva B Artwork : No Life Doodler #UrduRap #DesiHipHop #KitnaBadalGayaInsaan
Lyrics:Hook:Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan, Kitna Badal Gaya Insaan,
Sooraj na badla, Chaand na badla, Na badla re aasmaanKitna Badal Gaya Insaan x2Eva B:Unity is strength Tabhi to mili azadi. Wrna har aik k gale pe hoti gulaami ki phansi.Ithadi hi thi jo yahan tak leke aai
Par waqt ne har aik ki, asleehat dikhaaiBhai bhai ki larai jawan beta baap kamaeyGali koochay ki larai pe behn ne gali khai
.T shirt pe loose jacket Yahan tights me he legsMaa behn pe gali dena hai yahi he inka swag
Chars pe bharam lekin bharam to ye arzi heHaqeeqat me to ye apni behn k hi karzi hain
Koi inhe kuch na bole, jo ye chahe wohi krna hemehnat se nahi, inhe rondh k hi aage barhna heRishwat dete khushi se, na denge jurmana yeSukoon gah aj masjid nahi balkay mekhana heDikhawe ki ibadat, dikhawe ko hajj pe jana heDuniya me betha jannati hooron ka deewana he
Doosron ki behne slut? Par shareef apni behna hegiraa ke dusron ki izzat, izzatdar ban k rehnaMazdooron ka haq kha rahe logEducation k nam pe kama rahe logShadi byah me bs paisa uraateMal e rishwat se ghar ko saja rahe logInsano ki Duniya me dikhti insnaaiyat naiJamhori ryasat me hukumat koi nahi jamhoriyat ki.10 saal ka bacha betha dhoondta hai porn siteHashtag qaum tabah hai bat nahi ye tarbiyat ki.Duniya competition or zindagi imetehaan heJo gheebat krta milta usko hi ko inaam heLog double policy or jaali zamaane k log
Zamane he jaali ye zamane pe ilzam he.Hook:Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan, Kitna Badal Gaya Insaan, Sooraj na badla, Chaand na badla, Na badla re aasmaanKitna Badal Gaya Insaan x2Sunny Khan Durrani :12 saal ka me, mujhe fikar aasmano kiMakhlook ko me dekhun suno dhun me zubaano kiParindo se thi guftgu aur urne ki khuwahish thiPhir dunya ne roka Le raah dunyaadaari ki
Sikhaadi saari batain jin se mera koi kaam naiJo cheezain ehsaas thi ab sune uske naam kaheenMunaafa, nuksaan, takkabur aur nafratAnaa khudaaari bhai kesi ye circusJo karo tum sawaal to sawaal bhi khataa haiKhud faraib karain bolain uski razaah haiYahan jang chalay zann pe, Jang chalay zarr peAag lagaate phirain apne hi ghar pe, Tinkon ke ghar maarte phoonkain ye naar koInternet pe bethay dete gaali sarhad paar
6 foot ka samaan nai aur batain jareeb ki, Jo ghalti insaan ki, banadain wo naseeb kiaaj kal me kaat ke, rakh dia waqt ko, Kaata likha usi pe, bachao is drakht ko, Wah dunya wahh tere tor bhi ajeeb hain, Kaaghaz nahi jaib me jinki wo sab ghareeb hain, Zameen ki hifazat karain lakeerain ye kheench keZamee se bharke paani phir zamee ko hi bech dain, Kon kare fikar sochay, dooor khalaa ki
Jo log itne bhookay lete qeemat hawaa ki, Banaa ke haspataal lagaen, qeemat ye jaan kiPohunch nahi, torke warna beech dain ye chaand bhi yeQudrat ke baare me itne behiss hain ke, La ilmii me darain teesray jinss se, Jismon me doobay ye rooh me na terayy, Rishtay dunyaawi do pal bhi na thehrayy... Hook:Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan, Kitna Badal Gaya Insaan, Sooraj na badla, Chaand na badla, Na badla re aasmaanKitna Badal Gaya Insaan x2
Comments
Post a Comment